Faiz Ahmad Faiz Poetry and SMS | urdu poetry - Urdu Poetry Love

Urdu Poetry Love / Romantic, Shayari & Ghazals, Urdu Sad Poetry, Urdu Poetry Sms.

Tuesday, September 3, 2019

Faiz Ahmad Faiz Poetry and SMS | urdu poetry


Category:Faiz Ahmad Faiz Poetry..

 Faiz Ahmad Faiz is very famous urdu poet from Pakistan. Faiz Ahmad Faiz Poetry has been translated into several languages. We offer his best poetry collection Urdu poetry.....



Wo Na Aayen Gey


Jaanta Hai Ke Wo Na Aayen Gey
Phir Bhi Masroof-e Intezaar Hai Dil


Phir Nazar Mein Phool Mehkay


Phir Nazar Mein Phool Mehkay Dil Mein Phir Shammen Jalein
Phir Tasawwur Ne Liya Is Bazm Mein Jane Ka Naam

Ham Se Kehte Hain Chaman Wale


Ham Se Kehte Hain Chaman Wale Ghareban Chaman
Tum Koi Acha Sa Rakh Lo Apne Verane Ka Naam

Ham Aese Sada Dilon Ki


Ham Aese Sada Dilon Ki Nayaz Mandi Se
Buton Ne Ki Hai Jahan Mein Khudayan Kya Kya

Kab Raat Basar Ho Gi By Faiz Ahmad Faiz


Kab Thehray Ga Dard Ae Dil, Kab Raat Basar Ho Gi
Sunte Thay Wo Ayen Gay, Sunte Thay Sehar Ho Gi

Qarb K Na Wafa K Hote Hain


Qarb K Na Wafa K Hote Hain
Sare Jagray Ana K Hote Hain
Baat Neyat Ki Hai Sirf Warna
Waqt Sare Dua K Hote Hain
Bhol Jate Hain Mat Bura Kehna
Log Putle Khata K Hote Hain
Wo Jo Bzahr Ache Nahi Lagte
Un Se Rishte Bla K Hote Hain
Wo Hmara Hai Is Tarah Se Faiz
Jese Bande Khuda K Hote Hain

No comments:

Post a Comment